heena1999  guestbook (69) Sign guestbook

Browse Pages:< Previous 1 2 3 4 
Alice1701
12 years ago
Wo keh gaye mera intezar mat krna,
Me kahu to bhi mera aitabar mat krna,
Ye bhi kaha unhe pyar nahi mujhse
Aur ye bhi keh gye kisi Aur se pyar mat krna. .
Alice1701
12 years ago
Sache pyar ko paana kisi ke naseeb mein nahi hai…..
Agar pyar karke kuch paana hai toh wo siraf gum hai……
Joh log pyar kyu karte hai?
Jab pta hai k pyar karke kismat mein sirf tadap, aansu aur gum hai…
Alice1701
12 years ago
Jab bhi kuch sochta hu teri yd aa jati hai.
Bethe bethe ankhe meri namm ho jati.
Dil rota hai par tu na aati hai.
Bs teri yd hi to hai jo mujhe har baar rula jati hai…
Alice1701
12 years ago
Na kar tamanna tu kisi ko pane ki,
badi be sard nigahe he is zamane ki,
khud ko banale kabil is kadar,
ki rakhe log tamanna sirf tuje paneki......
Alice1701
12 years ago
Hi heena thanks sorry aj apko shayari nahi send ki kyu ki ham ab yaha kam ayege is liye lekin jab bhi ayenge inbox mai jarur kuch na kuch likhte jayenge os frds and thanks dear
Alice1701
12 years ago
No heena i can't poetry maker i am simple man but i like sad shayri so send to my all sewwt frds ok and thanks alot
Alice1701
12 years ago
har ajnabi chehre mein uski jhalak dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab, to nazar jhukaye rehti hai
dikh jaata hai vo kahin to dhadkan kyun ruk jaati hai
chalte chalte jaise koi dor si khich jaati hai

paani ki lehron mein bhi jannat dikhayi deti hai
chalti hai deewani jab to nazar jhukaye rehti hai
aankhen gar mil jaayen to din poora ho jaata hai
nazarein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai

barkha ki pehli boonde jab dharti par pad jaati hain
is pagli deewani ko phir yaad usi ki aati hai
nazrein phir jhuk jaati hain, pagal mann kho jaata hai
muskurahat ka lamha phir se wapas aata hai

aasman jhilmilata hai, raat jab bhi aati hai
ye pagli taaro se uska chehra banati hai
raat bhi dhal jaati hai, suraj chadh aata hai
is tarah deewani ka poora din kat jaata hai
Alice1701
12 years ago
ek Ansu bankar palko mein machal gaya..
Thamna jo chaha meine
jhat galo par fisal gaya..
Bahoot man karta mera
mujhe bhi koi gale se lagaye to..
Do pyare mithe bolo se
mujhpar pyar jataye to..
Unki yaad ne yu chua mujhko
Naam unka aah bankar hotose nikal gaya..
Hum unke samne muskuraye to
Unhe hamare khus hone ka guman ho gaya
Hamare andar ke dard is
Unka mann anjaa ho gaya..
Chalo aisa hi sahi..yeh bhi kya kam hai
Hamari muskurat par wo muskuraye to..
hamare palko par chipe aasu
---jo unhe na dikh paye to..
Bita waqt thama tha hamne
Wo ret sa muthi se fisal gaya..
Aaj tak hum unhe kya de paye they......
Chaliye aisa hi sahi....
hamara dard...unke hoto par...
Muskurat de gaya..
Alice1701
12 years ago
Hosakta hai ab meri himmat na rahi ho
ho sakta hai dil mera na sah sake koi naya gum

Kahne ko to jana! tum ne bhi bohat kuch kaha tha
yahi behter hai ki bhol jaye wo batein hum

Sapne to meine bhi bune the! yaad hai
Aaj herjai kaho, bewafa, ya jo chaho kaho tum

Such kahte ho! wo din bhi kitne ajeeb the
per fasle bhi to dekho! pukare bhi to kaise hum

Zamane ka dustoor hai bewafai! ye samajhlo tum
Ab na sahna koi dard naya, Na dena koi naya zakhm

Alice1701
12 years ago
Aise chup hai ke yeh manzil bhi khadi ho jaise,
Tera milna bhi judai ki ghadi ho jaise,


Apne hi saaye se har gam laraz jata hu,
Raaste mein koyi deewaar khadi ho jaise,


Manzile door bhi hai manzile nazdeek bhi hai,
Apne hi paaoon mein zanjeer padi ho jaise,


Kitne nadaan hai tere bhulane wale ke tujhe,
Yaad karne ke liye umar padi ho jaise,


Aaj dil khol ke roya hai ramu to yuh Khush hai,
Chand lamho ki ye raahat bhi badi ho jaise.
Alice1701
12 years ago
Tum nahi ho tu shaam hotay he
Ake saaya sa sar jhukayay huvay
Sheher ki bay-charaagh galiyon main
Chupkay chupkay say nikal jaata hay
Haath main ik sharaab ki botel
(dil magar kuch tu behel jaata hay)

Jub chalay sard hava ka jhonka
Chaltay chaltay theher sa jaata hay
Apni aankhon ko neem-waa kar k
Haath uthata hay is tarha jaisay
Yak nafas, zulf uri ho koi…
Is ne dheeray say sanwara jaisay

Kabhi is ote main khambay k kareeb
Kabhi us chowk nazar aata hay
Larkharatay huvay qadmon k nishan
Is taraf bhe hain us taraf ko bhe
Jaanay kis simt gaya hay saya…
Koi jaanay tu bhala ku jaanay?
Rang-o-khushbu ki haseen dunya main
Kon saayay ko magar pehchanay?

Kitna pathar sa hay chehra is ka
Haan magar aankh kuch bheegi bheegi
Kitnay ujray huvay hain lub is k
Aankh jaisay kabhi barsi he nahi
Gum hay cigarette k dhuvain main jaisay
Zindagi ! saath ko tarsi he nahi

Khushk patay, ye hawain ye khazan
Teray aanay ki umeedon ka jahan
Shub k seenay pay ubhar aata hay
Or ye saaya bhe andheron ki tarha
Subah hotay he bikhar jata hay

Tum nahi ho tu kis qadar veeran
Har gali hum ko nazar aatee hay
Jaisay ba-waqt-e-naz’a aankhon main (ba-waqt-e-naz'a = marnay ka waqt)
Maut, dheeray say theher jatee hay
*--------------------------------------------*
kisi kay pyaar main likhay huvay geeton k gulaab
aaj baazaar main biktay hain, khareeday ga koi?
*--------------------------------------------*
Alice1701
12 years ago
ok by tc
heena1999
12 years ago
nice to meet you bye
Alice1701
12 years ago
thanks and me toooo
Umiss4me
12 years ago
hello heena how r u
Alice1701
12 years ago
from Ahmedabad, gujarat
Alice1701
12 years ago
Ik dewaana, ik deewani, rehte hain alag, lekin ik hi hai kahaani,
mohabbat hai in dono ko, lekin kaam na ayee aj bhi jawaani,
milna chahe dono lekin, duniya ke zanjishon mein phase hue,
panchi ki tarhan udna chahe yeh, hava ke ik jharonke se,
yaad karte hain dono lekin, bina ik dusre ko dekhe hue,
khuda ke dargaah mein baithe hain aj haath jode hue,
ki ik dafa mila de khuda, aj zamaane ko rok de,
dil to mil chuke hai, nazron ko bhi mila de,
sapno mein usko dekha hai, aj soorat bhi dikha de,
dil nahi samajhta lekin, gharvaalon ko samjha de,
ik baar usse mila de, ik baar usse mila de,
har baar ye dua karte lekin, mulaaqat na hui kabhi bhi,
talaash rahe hain ik dooje ko dono abhi bhi,
dar hai inhe ik hi, ki mil paaenge ye kabhi bhi,
jawaani to dhal gayee thi, ab to maut bhi le gayee hume,
is janam to na mili, ab agle janam ka intezaar hai,
ye saat janmo ka bandhan nahi, ye sau janmo ka pyaar hai.
Alice1701
12 years ago
hi
heena1999
12 years ago
hi
Umiss4me
12 years ago
hi heena
Browse Pages:< Previous 1 2 3 4 
Contact Us | Blog | Translation | Terms of Use | Privacy Policy

沪ICP备06061508号
Copyright © 2006 OwnSkin.com    
-
Loading content
There is a problem with loading the content.